Rahega Aql Ke Sine Pe Ta-abad Ye Dagh
rahega aql ke sine pe ta-abad ye dagh
ki zindagi ne bhi paya na zindagi ka suragh
ajib tarah guzara hai daur-e-tira-shabi
jala jala ke bujhae hain main ne kitne charagh
hai jine walon ki KHatir ye kaisi majburi
na zindagi ka faragh aur na zindagi se faragh
ye kuchh hamare hi qalb-e-tapida ko hai KHabar
farogh-e-nur se kya kya na jal bujhe hain charagh
hai raushni ke liye raushni payam-e-ajal
sahar qarib hai aur jhilmila rahe hain charagh
mujhe bata ki hai us mai mein kaif-e-mai kitna
main jaanta hun ki KHali nahin kisi ka ayagh
kisi tarah sahi badle to rasm-e-parina
ugae jao bayaban ujaDte chalo bagh
dikha raha hun main duniya ko dil ka aaina
ba-in yaqin ki nahin mahtab bhi be-dagh
ye raat mahfil-e-adam pe hai garan 'hurmat'
bhaDak uThe hain KHud apni hi raushni se charagh
(821) Peoples Rate This