Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log
dil-e-azurda ko bahlae hue hain hum log
kitne KHwabon ki qasam khae hue hain hum log
ek aalam ke harif ek zamane ke naqib
jaise tariKH ke dohrae hue hain hum log
ek muddat hui hum DhunDh rahe hain KHud ko
apni aawaz ke bhaTkae hue hain hum log
jis ke shoalon se numu paenge kuchh phul nae
aag sine mein wo dahkae hue hain hum log
jin se bedar hua lazzat-e-azar ka zauq
choTen aisi bhi kai khae hue hain hum log
ek gutthi jo sulajh kar bhi na suljhi zinhaar
us ko suljha ke bhi uljhae hue hain hum log
hosh mein rah ke bhi lazim hai ki madhosh rahen
raaz aankhon ka teri pae hue hain hum log
gardish-e-waqt koi aur Thikana batla
mahfil-e-dost se uktae hue hain hum log
aanch aai na kaDi dhup mein lekin 'hurmat'
chandni raaton ke suno lae hue hain hum log
(922) Peoples Rate This