Dil Ko Taufiq-e-ziyan Ho To Ghazal Hoti Hai
dil ko taufiq-e-ziyan ho to ghazal hoti hai
zahr-e-gham baada-chukan ho to ghazal hoti hai
fikr tap tap ke nikharti rahe kundan ki tarah
aag sine ki jawan ho to ghazal hoti hai
dhimi dhimi si nawa silsila junban-e-abad
parda-e-jaan mein nihan ho to ghazal hoti hai
dhaDkanen surat-e-alfaz bikharti jaen
dil maani ki zaban ho to ghazal hoti hai
aanch miTTi ke khilaunon ki tarah milti jae
zehn KHwabon se tapan ho to ghazal hoti hai
rauzan-e-mah se pichhle pahar ek shoKH-laqa
jaanib-e-di-nigaran ho to ghazal hoti hai
ruh-e-shab apni adaon ki tab-o-tab liye
KHalwat-ara-e-bayan ho to ghazal hoti hai
ek sayyal kasak jada-kusha-e-taKHliq
fan ki nabzon mein rawan ho to ghazal hoti hai
tajarbe dard ki shabnam mein nahaen 'hurmat'
gul-fishan shoala-e-jaan ho to ghazal hoti hai
(888) Peoples Rate This