Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e649038fae0d277d19732de5e2563ecd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
In Lafzon Mein KHud Ko DhunDungi Main Bhi - Humaira Rahman Poetry In English - Darsaal

In Lafzon Mein KHud Ko DhunDungi Main Bhi

in lafzon mein KHud ko DhunDungi main bhi

apni ana ka manzar dekhungi main bhi

koi mere bare mein na kuchh bhi jaan sake

ab aisa lahja apnaungi main bhi

aankhon se chun kar sab TuTe-phuTe KHwab

patthar ki KHwahish ban jaungi main bhi

main KHud apni soch ki mujrim Thahri hun

ab ye adalat KHud hi jhelungi main bhi

kis kis rang mein ilhamat utarte hain

kis kis ki rudaden likkhungi main bhi

taswiron ke maddham rang batate hain

apne ko pahchan na paungi main bhi

dukh mein 'humaira' apni hifazat karne ko

pichhle sabhi aaseb bulaungi main bhi

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Lafzon Mein KHud Ko DhunDungi Main Bhi In English By Famous Poet Humaira Rahman. In Lafzon Mein KHud Ko DhunDungi Main Bhi is written by Humaira Rahman. Read famous Poem In Lafzon Mein KHud Ko DhunDungi Main Bhi for youth and Student by Humaira Rahman. Free Download In Lafzon Mein KHud Ko DhunDungi Main Bhi in PDF.