Dil Ko Darun-e-KHwab Ka Mausam Bojhal Rakhta Hai
dil ko darun-e-KHwab ka mausam bojhal rakhta hai
ek anjaane KHauf se waqif har pal rakhta hai
wo jo ba-zahir har zarra hai tez hawaon mein
apne hone ka ehsas mukammal rakhta hai
tark-e-talluq ne meri bhi soch ko badla nahin
wo bhi shikayat apne sath musalsal rakhta hai
registan ka pauda hun main aur bahut sairab
apna rup rawayya mujh par baadal rakhta hai
kankar phenk rahe hain ye andaza karne ko
Thahra pani kitni 'humaira' halchal rakhta hai
(827) Peoples Rate This