Misal-e-KHak Kahin Par Bikhar Ke Dekhte Hain
misal-e-KHak kahin par bikhar ke dekhte hain
qarar mar ke milega to mar ke dekhte hain
suna hai KHwab mukammal kabhi nahin hote
suna hai ishq KHata hai so kar ke dekhte hain
kisi ki aankh mein Dhal jata hai hamara aks
jab aaine mein kabhi ban sanwar ke dekhte hain
hamare ishq ki miras hai bas ek hi KHwab
to aao hum use tabir kar ke dekhte hain
siwae KHak ke kuchh bhi nazar nahin aata
zamin pe jab bhi sitare utar ke dekhte hain
ye hukm hai ki zamin-e-'faraaz' mein likkhen
so is zamin mein hum panw dhar ke dekhte hain
(1426) Peoples Rate This