Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9bf57c5436a94cd1bc18677b9ca83c29, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Aab-e-ishq Mein Hal Ho Gai Hun - Humaira Rahat Poetry In English - Darsaal

Main Aab-e-ishq Mein Hal Ho Gai Hun

main aab-e-ishq mein hal ho gai hun

adhuri thi mukammal ho gai hun

palaT kar phir nahin aata kabhi jo

main wo guzra hua kal ho gai hun

bahut taKHir se paya hai KHud ko

main apne sabr ka phal ho gai hun

mili hai ishq ki saughat jab se

udasi tera aanchal ho gai hun

sulajhne se ulajhti ja rahi hun

main apni zulf ka bal ho gai hun

barasti hai jo be-mausam hi aksar

usi barish mein jal thal ho gai hun

meri KHwahish hai suraj chhu ke dekhun

mujhe lagta hai pagal ho gai hun

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Aab-e-ishq Mein Hal Ho Gai Hun In English By Famous Poet Humaira Rahat. Main Aab-e-ishq Mein Hal Ho Gai Hun is written by Humaira Rahat. Read famous Poem Main Aab-e-ishq Mein Hal Ho Gai Hun for youth and Student by Humaira Rahat. Free Download Main Aab-e-ishq Mein Hal Ho Gai Hun in PDF.