Hawa Ke Sath Ye Kaisa Moamla Hua Hai
hawa ke sath ye kaisa moamla hua hai
bujha chuki thi jise wo diya jala hua hai
huzur aap koi faisla karen to sahi
hain sar jhuke hue darbar bhi laga hua hai
khaDe hain samne kab se magar nahin paDhte
wo ek lafz jo diwar par likha hua hai
hai kis ka aks jo dekha hai aaine se alag
ye kaisa naqsh hai jo ruh par bana hua hai
ye kis ka KHwab hai tabir ke taaqub mein
ye kaisa ashk hai jo KHak mein mila hua hai
ye kis ki yaad ki barish mein bhigta hai badan
ye kaisa phul sar-e-shaKH-e-jaan khila hua hai
sitara TuTte dekha to Dar gai 'rahat'
KHabar na thi yahi taqdir mein likha hua hai
(856) Peoples Rate This