Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4e2e1b96638898f66c49acc8abb3564f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek KHwab Ki Tabir ThoDi Hoti Hai - Humaira Rahat Poetry In English - Darsaal

Har Ek KHwab Ki Tabir ThoDi Hoti Hai

har ek KHwab ki tabir thoDi hoti hai

mohabbaton ki ye taqdir thoDi hoti hai

kabhi kabhi to juda be-sabab bhi hote hain

sada zamane ki taqsir thoDi hoti hai

palak pe Thahre hue ashk se kaha main ne

har ek dard ki tashhir thoDi hoti hai

safar ye karte hain ek dil se dusre dil tak

dukhon ke panw mein zanjir thoDi hoti hai

dua ko hath uThao to dhyan mein rakhna

har ek lafz mein tasir thoDi hoti hai

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek KHwab Ki Tabir ThoDi Hoti Hai In English By Famous Poet Humaira Rahat. Har Ek KHwab Ki Tabir ThoDi Hoti Hai is written by Humaira Rahat. Read famous Poem Har Ek KHwab Ki Tabir ThoDi Hoti Hai for youth and Student by Humaira Rahat. Free Download Har Ek KHwab Ki Tabir ThoDi Hoti Hai in PDF.