Milta Nahin Mizaj KHud Apni Ada Mein Hai
milta nahin mizaj KHud apni ada mein hai
teri gali se aa ke saba bhi hawa mein hai
ai ishq teri dusri manzil bhi hai kahin
marna hai ibtida mein to kya intiha mein hai
lati hai jab saba to chamakte hain baam-o-dar
ye raushni si kya teri bu-e-qaba mein hai
har rahguzar nishan hai teri samt ka magar
iqrar-e-na-rasi bhi har ek naqsh-e-pa mein hai
tausif-e-husn asl mein hai wasf-e-husn-e-saz
bandon se jis ko pyar hai yaad-e-KHuda mein hai
ye tishnagi ye pas-e-wafa ye hujum-e-gham
kya karwan-e-shauq kisi karbala mein hai
sun kar ki 'hosh' ne bhi kiya tark-e-arzu
kohram ek macha hua shahr-e-wafa mein hai
(914) Peoples Rate This