Laega Rang Zabt-e-fughan Dekhte Raho
laega rang zabt-e-fughan dekhte raho
phuTegi har kali mein zaban dekhte raho
barpa sar-e-hayat hai ek hashr-e-dar-o-gir
deta hai kaun kis ko aman dekhte raho
dam-bhar ko aastan-e-tamanna pe hai hujum
jae bichhaD ke kaun kahan dekhte raho
milne ko hai KHamoshi-e-ahl-e-junun ki dad
uThne ko hai zamin se dhuan dekhte raho
mahfil mein un ki shama jali hai ki jaan-o-dil
khulta hai kab ye raaz-e-nihan dekhte raho
hai barg-e-gul ko barish-e-miqraaz ke payam
tarz-e-tapak-e-ahl-e-jahan dekhte raho
aai nigar-e-gham ki sada 'hosh' hum chale
tum imtiyaz-e-sud-o-ziyan dekhte raho
(997) Peoples Rate This