Koi Monis Nahin Mera Koi Gham-KHwar Nahin
koi monis nahin mera koi gham-KHwar nahin
kya main itni si murawwat ka bhi haqdar nahin
mere hi dam se jinhen azmat-e-kirdar mili
wahi kahte hain ki main sahab-e-kirdar nahin
ehtimam-e-rasan-o-dar hai ab kis ke liye
main KHatawar nahin aap KHatawar nahin
munsif-e-shahr ko de kaun sawalon ke jawab
ab kisi shaKHs mein bhi jurat-e-guftar nahin
silsila unche makanon ka hai ta-hadd-e-nazar
shahr mein phir bhi kahin saya-e-diwar nahin
qafile wale kahan paenge manzil ka nishan
jazba-e-shauq nahin garmi-e-raftar nahin
kya faqat dad hai shair ki riyazat ka sila
'soz' kya mashq-e-suKHan kawish-e-bekar nahin
(1244) Peoples Rate This