Jise Milen Wahi Tanha Dikhai Deta Hai
jise milen wahi tanha dikhai deta hai
hisar-e-zat mein simTa dikhai deta hai
kisi ke sar pe koi saeban nahin har shaKHs
KHud apni chhanw mein baiTha dikhai deta hai
wo daur-e-tesha-giri hai ki aadmi ka wajud
har ek samt se TuTa dikhai deta hai
saza-e-dar abhi tak hai ahl-e-haq ke liye
abhi salib pe isa dikhai deta hai
dhuan dhuan hai faza aatish-e-tassub se
nagar nagar mujhe jalta dikhai deta hai
ye kaifiyat hai junun ki ya dil ki virani
ki apna ghar mujhe sahra dikhai deta hai
bhaTak rahi hai kisi karbala mein 'soz' ki ruh
kuchh is tarah se wo pyasa dikhai deta hai
(929) Peoples Rate This