Mader-e-watan Ka Nauha
mere badan par baiThe hue gidh
mere gosht ki boTi boTi noch rahe hain
meri aankhen mere hasin KHwabon ke nasheman
meri zaban moti jaise alfaz ka darpan
mere bazu KHwabon ki tabir ke zamin
mera dil jis mein har na-mumkin bhi mumkin
meri ruh ye sara manzar dekh rahi hai
soch rahi hai
kya ye sara khel-tamasha
(KHun-KHwaron ke dastar-KHwan pe mera lasha)
lazzat-e-kaam-o-dahan ke liye tha
(872) Peoples Rate This