Harif-e-visal
ajib shab thi
jo ek pal mein simaT gai thi
ajib pal tha
jo sal-ha-sal ki masafat pe par-fishan tha
aur us ke sae mein ek mausam Thahar gaya tha
(kisi ke dil mein tha kya kisi ko KHabar nahin thi)
bas ek aalam supurdagi ka
bas ek dariya-e-tishnagi tha ki jis ki maujen
umaD umaD kar bikhar rahi thin
khule samundar mein Dub jaane ki aarzu mein machal rahi thin
KHayal husn-e-KHayal mein gum
nigah KHwab-e-jamal mein gum
na jaane kis KHwab ki ye tabir thi ki aankhon mein jagti thi
na jaane kis aarzu ki takmil ho rahi thi
ki aankh se aankh
lab se lab mahw-e-guftugu the
magar bas ek baat mo'tabar thi
kisi ke dil mein tha kya kisi ko KHabar nahin thi
wo lamha guzra ki sehr TuTa
yaka-yak ehsas-e-umr jaga
har ek chehra KHud apni aankhon mein aaina ho gaya ho jaise
tilism-e-sim-sim se jis KHazane ka dar khula tha
wo yak-ba-yak kho gaya ho jaise
ajib tha ek chor dil mein
jo is KHazane ka pasban tha
jo sae ki tarah darmiyan tha
taqaza-e-mah-o-sal tha wo?
ki dil ki gahraiyon mein bedar
koi KHauf-e-maal tha wo?
ajib sa ek KHayal tha wo
hujum-e-jazbaat mein dar aaya tha jo harif-e-visal ban kar
jo dil ki dhaDkan mein ruk gaya tha zamir ka ek sawal ban kar
(877) Peoples Rate This