Haarun Ki Aawaz
dekho abhi hai wadi-e-kanan nigah mein
taza har ek naqsh-e-kaf-e-pa hai rah mein
yaqub be-basar sahi yusuf ki chah mein
lahra raha hai aaj bhi turra kulah mein
ye turra gir gaya to ulaT jaegi zamin
mahwar se apne aur bhi haT jaegi zamin
tariKH ke safar mein ghalat bhi qadam uThe
gahe libas-e-faqr mein ahl-e-hasham uThe
gahe sanam-tarash ba-nam-e-haram uThe
parde nigah ke bhi magar besh o kam uThe
yun bhi hua dahai ikai mein Dhal gai
KHurshid ke alao mein har shai pighal gai
jab yun na ho saka to ye tariKH hai gawah
uTThe asa-ba-dast ghulman-e-kaj-kulah
zer-e-zamin kushada hui zindagi ki rah
aur kuchh na kar saki kisi firaun ki sipah
har mauj-e-nil sanp si bal kha ke rah gai
ahram ki nigah bhi pathra ke rah gai
azdad ki ye jang usul-e-qadim hai
aur ab ki aadmi ki ikai do-nim hai
aflak ke tale sahi miTTi azim hai
haarun ki zaban bhi lauh-e-kalim hai
had se guzar na jaen kahin kam-tarin log
musa ke intizar mein hain be-zamin log
(1085) Peoples Rate This