An-kahi
tujh ko malum nahin tujh ko bhala kya malum
tere chehre ke ye sada se achhute se nuqush
meri taKHil ko kya rang ata karte hain
teri zulfen teri aankhen tere aariz tere honT
kaisi an-jaani si masum KHata karte hain
tere qamat ka lachakta hua maghrur tanaw
jaise phulon se ladi shaKH hawa mein lahrae
wo chhalakte hue saghar si jawani wo badan
jaise shoala sa nigahon mein lapak kar rah jae
KHalwat-e-bazm ho ya jalwat-e-tanhai ho
tera paikar meri nazron mein ubhar aata hai
koi saat ho koi fikr ho koi mahaul
koi saat ho koi fikr ho koi mahaul
mujh ko har samt tera husn nazar aata hai
chalte chalte jo qadam aap ThiThak jate hain
sochta hun ki kahin tu ne pukara to nahin
gum si ho jati hain nazren to KHayal aata hai
is mein pinhan teri aankhon ka ishaara to nahin
dhup mein saya bhi hota hai gurezan jis dam
teri zulfen mere shanon pe bikhar jati hain
jhuk ke jab sar kisi patthar pe Tika deta hun
teri bahen meri gardan mein utar aati hain
aankh lagti hai to dil ko ye guman hota hai
sar-e-baalin koi baiTha hai baDe pyar ke sath
mere bikhre hue uljhe hue baalon mein koi
ungliyan pherta jata hai baDe pyar ke sath
jaane kyun tujh se dil-e-zar ko itni hai lagan
kaisi kaisi na tamannaon ki tamhid hai tu
din mein tu ek shab-e-mahtab hai meri KHatir
sard raaton mein mere waste KHurshid hai tu
apni diwangi-e-shauq pe hansta bhi hun main
aur phir apne KHayalat mein kho jata hun
tujh ko apnane ki himmat hai na kho dene ka zarf
kabhi hanste kabhi rote hue so jata hun main
kis ko malum mere KHwabon ki tabir hai kya
kaun jaane ki mere gham ki haqiqat kya hai
main samajh bhi lun agar is ko mohabbat ka junun
tujh ko is ishq-e-junun-KHez se nisbat kya hai
tujh ko malum nahin tujh ko na hoga malum
tere chehre ke ye sada se achhute se nuqush
meri taKHil ko kya rang ata karte hain
teri zulfen teri aankhen tere aariz tere honT
kaisi an-jaani si masum KHata karte hain
(937) Peoples Rate This