Aaina-dar-aina
is bar wo mila to ajab us ka rang tha
alfaz mein tarang na lahja dabang tha
ek soch thi ki bikhri hui KHal-o-KHat mein thi
ek dard tha ki jis ka shahid ang ang tha
ek aag thi ki rakh mein poshida thi kahin
ek jism tha ki ruh se masruf-e-jang tha
main ne kaha ki yar tumhein kya hua hai ye
us ne kaha ki umr-e-rawan ki ata hai ye
main ne kaha ki umr-e-rawan to sabhi ki hai
us ne kaha ki fikr-o-nazar ki saza hai ye
main ne kaha ki sochta rahta to main bhi hun
us ne kaha ki aaina rakkha hua hai
dekha to mera apna hi aks-e-jali tha wo
wo shaKHs main tha aur 'himayat-ali' tha wo
(1353) Peoples Rate This