Ye Shahr-e-rafiqan Hai Dil-e-zar Sambhal Ke
ye shahr-e-rafiqan hai dil-e-zar sambhal ke
milte hain yahan log bahut rup badal ke
aariz hain ki murjhae hue phul kanwal ke
aankhen hain ki jhulse hue KHwabon ke mahal ke
chehra hai ki hai aaina-e-gardish-e-dauran
shahkar hain kya kya mere naqqash-e-azal ke
farhad sar-e-dar hai shirin sar-e-bazar
badle nahin ab tak magar andaz ghazal ke
aae hain gham-e-ishq mein aise bhi maqamat
dil KHun hua aankh se aansu bhi na Dhalke
duniya bhi ek aamaj-gah-e-husn hai 'shair'
dekho to zara hajla-e-jaanan se nikal ke
(1362) Peoples Rate This