TaKHatub Hai Tujhse KHayal Aur Ka Hai
taKHatub hai tujh se KHayal aur ka hai
ye nukta wafa mein baDe ghaur ka hai
wo KHalwat mein kuchh aur jalwat mein kuchh hai
karam us ka mujh par ajab taur ka hai
mera chehra bhi mera chehra nahin hai
ye ehsan mujh par mere daur ka hai
ye nafrat mohabbat ka radd-e-amal hai
ki mujh se taqaza tere jaur ka hai
nae daur ki ibtida ka hai zamin
ki dil aaina gosha-e-saur ka hai
karachi mein bhi mo'atabar ho raha hai
suKHan mein jo andaz lahore ka hai
(868) Peoples Rate This