Pindar-e-zohd Ho Ki Ghurur-e-barhamani
pindar-e-zohd ho ki ghurur-e-barhamani
is dair-e-but-shikan mein hai har but shikastni
sarsar chale ki tund bagulon ka raqs ho
mauj-e-numu rawan hai to har gul shaguftani
gul-chin-o-gul-farosh ki KHatir hai fasl-e-gul
aur qismat-e-junun hai faqat chaak-damani
diwar-e-abr khinchiye kirnon ki rah mein
zarron mein qaid kijiye suraj ki raushni
mauj-e-nafas se larze hai tar-e-rag-e-hayat
phaili hai shahr-e-dil mein wo pur-haul sansani
(807) Peoples Rate This