Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6018332fbe85501693627f84271dcc15, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Shuur Mujhko Ye Aazar De Gaya - Himayat Ali Shayar Poetry In English - Darsaal

Mera Shuur Mujhko Ye Aazar De Gaya

mera shuur mujh ko ye aazar de gaya

suraj ki tarah dida-e-bedar de gaya

har phul ek sharar hai to har shaKH ek barq

jannat ka KHwab dozaKH-e-gulzar de gaya

lab-bastagi mein hasrat-e-guftar jag uThi

KHauf-e-sukut jurat-e-izhaar de gaya

jalta hun apni aag mein KHurshid ki tarah

kaisi saza ye shoala-e-pindar de gaya

mahw-e-suKHan tha main ki mera aks hans paDa

aaine se nikal ke ye ashaar de gaya

(997) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Shuur Mujhko Ye Aazar De Gaya In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Mera Shuur Mujhko Ye Aazar De Gaya is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Mera Shuur Mujhko Ye Aazar De Gaya for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Mera Shuur Mujhko Ye Aazar De Gaya in PDF.