Manzil Ke KHwab Dekhte Hain Panw KaT Ke
manzil ke KHwab dekhte hain panw kaT ke
kya sada-dil ye log hain ghar ke na ghaT ke
ab apne aansuon mein hain Dube hue tamam
aae the apne KHun ka dariya jo paT ke
shahr-e-wafa mein haqq-e-namak yun ada hua
mahfil mein hain lage hue paiwand TaT ke
khinchti thi jin ke KHauf se sadd-e-sikandari
soe nahin hain aaj wo diwar chaT ke
ab to darindagi ki nash bhi husn hai
diwar par sajate hain sar kaT kaT ke
(806) Peoples Rate This