Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f6aadeb839a045aa4de0b387eb9c5bba, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main So Raha Tha Aur Koi Bedar Mujh Mein Tha - Himayat Ali Shayar Poetry In English - Darsaal

Main So Raha Tha Aur Koi Bedar Mujh Mein Tha

main so raha tha aur koi bedar mujh mein tha

shayad abhi talak mera pindar mujh mein tha

wo kaj-ada sahi meri pahchan bhi tha wo

apne nashe mein mast jo fankar mujh mein tha

main KHud ko bhulta bhi to kis tarah bhulta

ek shaKHs tha ki aaina-bardar mujh mein tha

shayad isi sabab se tawazun sa mujh mein hai

ek mohtasib liye hue talwar mujh mein tha

apne kisi amal pe nadamat nahin mujhe

tha nek-dil bahut jo gunahgar mujh mein tha

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main So Raha Tha Aur Koi Bedar Mujh Mein Tha In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Main So Raha Tha Aur Koi Bedar Mujh Mein Tha is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Main So Raha Tha Aur Koi Bedar Mujh Mein Tha for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Main So Raha Tha Aur Koi Bedar Mujh Mein Tha in PDF.