Kya Kya Na Zindagi Ke Fasane Raqam Hue
kya kya na zindagi ke fasane raqam hue
lekin jo hasil-e-gham-e-dil the wo kam hue
ai tishnagi-e-dard koi gham koi karam
muddat guzar gai hai in aankhon ko nam hue
milne ko ek izn-e-tabassum to mil gaya
kuchh dil hi jaanta hai jo dil par sitam hue
daman ka chaak chaak-e-jigar se na mil saka
kitni hi bar dast-o-gareban baham hue
kis ko hai ye KHabar ki ba-unwan-e-zindagi
kis husn-e-ehtimam se maslub hum hue
arbab-e-ishq-o-ahl-e-hawas mein hai farq kya
sab hi teri nigah mein jab mohtaram hue
'shair' tumhin pe tang nahin arsa-e-hayat
har ahl-e-fan pe dahr mein aise karam hue
(956) Peoples Rate This