Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_081ca19894eaaf333cfcc1a4901658bb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Tak Rahun Main KHauf-zada Apne Aap Se - Himayat Ali Shayar Poetry In English - Darsaal

Kab Tak Rahun Main KHauf-zada Apne Aap Se

kab tak rahun main KHauf-zada apne aap se

ek din nikal na jaun zara apne aap se

jis ki mujhe talash thi wo to mujhi mein tha

kyun aaj tak main dur raha apne aap se

duniya ne tujh ko mera muKHatab samajh liya

mahw-e-suKHan tha main to sada apne aap se

tujh se wafa na ki to kisi se wafa na ki

kis tarah intiqam liya apne aap se

lauT aa darun-e-dil se pukare koi mujhe

duniya ki aarzu mein na ja apne aap se

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Tak Rahun Main KHauf-zada Apne Aap Se In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Kab Tak Rahun Main KHauf-zada Apne Aap Se is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Kab Tak Rahun Main KHauf-zada Apne Aap Se for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Kab Tak Rahun Main KHauf-zada Apne Aap Se in PDF.