Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ea98a6b2d7e05476a63321e06683eb46, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Tak Zamin Pe Rengte Sae Rahenge Hum - Himayat Ali Shayar Poetry In English - Darsaal

Jab Tak Zamin Pe Rengte Sae Rahenge Hum

jab tak zamin pe rengte sae rahenge hum

suraj ka bojh sar pe uThae rahenge hum

khul kar baras hi jaen ki ThanDi ho dil ki aag

kab tak KHala mein panw jamae rahenge hum

jhankega aainon se koi aur jab talak

hathon mein sang-o-KHisht uThae rahenge hum

ek naqsh-e-pa ki tarah sahi is zamin par

apni bhi ek rah banae rahenge hum

jab tak na shaKH shaKH ke sar par ho taj-e-gul

kanTon ka taj sar pe sajae rahenge hum

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Zamin Pe Rengte Sae Rahenge Hum In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Jab Tak Zamin Pe Rengte Sae Rahenge Hum is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Jab Tak Zamin Pe Rengte Sae Rahenge Hum for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Jab Tak Zamin Pe Rengte Sae Rahenge Hum in PDF.