Is Shahr-e-KHuftgan Mein Koi To Azan De
is shahr-e-KHuftgan mein koi to azan de
aisa na ho zamin ka jawab aasman de
paDhna hai to nawishta-e-bainassutur paDh
tahrir-e-be-huruf ke mani pe dhyan de
suraj to kya bujhega magar ai hawa-e-mahr
tapti zamin pe abr ki chadar hi tan de
ab dhup se gurez karoge to ek din
mumkin hai saya bhi na koi saeban de
main sochta hun is liye shayad main zinda hun
mumkin hai ye guman haqiqat ka gyan de
main sach to bolta hun magar ai KHuda-e-harf
tu jis mein sochta hai mujhe wo zaban de
suraj ke gird ghum raha hun zamin ke sath
is gardish-e-mudam se mujh ko aman de
main tangi-e-makan se na ho jaun tang-dil
apni tarah mujhe bhi koi la-makan de
meri gawahi dene lagi meri shaeri
yarab mere suKHan ko wo husn-e-bayan de
(944) Peoples Rate This