Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ff3e904d55cdc41574f4e1611f41fc6c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Qadam Par Nit-nae Sanche Mein Dhal Jate Hain Log - Himayat Ali Shayar Poetry In English - Darsaal

Har Qadam Par Nit-nae Sanche Mein Dhal Jate Hain Log

har qadam par nit-nae sanche mein Dhal jate hain log

dekhte hi dekhte kitne badal jate hain log

kis liye kije kisi gum-gashta jannat ki talash

jab ki miTTi ke khilaunon se bahal jate hain log

kitne sada dil hain ab bhi sun ke aawaz-e-jaras

pesh o pas se be-KHabar ghar se nikal jate hain log

apne sae sae sar-nahuDae aahista KHiram

jaane kis manzil ki jaanib aaj kal jate hain log

shama ke manind ahl-e-anjuman se be-niyaz

aksar apni aag mein chup chap jal jate hain log

'shair' un ki dosti ka ab bhi dam bharte hain aap

Thokaren kha kar to sunte hain sambhal jate hain log

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Qadam Par Nit-nae Sanche Mein Dhal Jate Hain Log In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Har Qadam Par Nit-nae Sanche Mein Dhal Jate Hain Log is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Har Qadam Par Nit-nae Sanche Mein Dhal Jate Hain Log for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Har Qadam Par Nit-nae Sanche Mein Dhal Jate Hain Log in PDF.