Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0f68134f68becfa3b7fbe291326e0ff3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dastak Hawa Ne Di Hai Zara Ghaur Se Suno - Himayat Ali Shayar Poetry In English - Darsaal

Dastak Hawa Ne Di Hai Zara Ghaur Se Suno

dastak hawa ne di hai zara ghaur se suno

tufan ki aa rahi hai sada ghaur se suno

shaKHen uTha ke hath dua mangne lagin

sargoshiyan chaman mein hain kya ghaur se suno

mahsus kar raha hun main karb-e-shikastagi

tum bhi shaguft-e-gul ki sada ghaur se suno

gulchen ko dekh leti hai jab koi shaKH-e-gul

deti hai bad-dua ki dua ghaur se suno

ye aur baat KHushk hain aankhen magar kahin

khul kar baras rahi hai ghaTa ghaur se suno

shaKHon se TuTte hue patton ko dekh kar

roti hai munh chhupa ke hawa ghaur se suno

ye dasht-e-be-karan ye pur-asrar KHamushi

aur dur ek sadae zara ghaur se suno

ye baz-gasht meri sada ki hai ya mujhe

aawaz de raha hai KHuda ghaur se suno

baDhti chali hai arz-o-sama mein kashidgi

kaunain mein hai hashr bapa ghaur se suno

kab tak zamin uThae rahe aasman ka bojh

ab TuTti hai rasm-e-wafa ghaur se suno

main TuTta hun KHair mujhe TuTna hi hai

dharti chaTaKH rahi hai zara ghaur se suno

sahra mein chiKHte hain bagule to shahr shahr

ek shor hai sukut-faza ghaur se suno

'shair' tarashte to ho dil mein KHuda ka but

aawaza-e-shikast-e-ana ghaur se suno

(1113) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dastak Hawa Ne Di Hai Zara Ghaur Se Suno In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Dastak Hawa Ne Di Hai Zara Ghaur Se Suno is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Dastak Hawa Ne Di Hai Zara Ghaur Se Suno for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Dastak Hawa Ne Di Hai Zara Ghaur Se Suno in PDF.