Apna Andaz-e-junun Sab Se Juda Rakhta Hun Main
apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main
chaak-e-dil chaak-e-gareban se siwa rakhta hun main
ghaznawi hun aur giraftar-e-KHam-e-zulf-e-ayaz
but-shikan hun aur dil mein but-kada rakhta hun main
hai KHud apni aag se har paikar-e-gul tabnak
le hawa ki zad pe miTTi ka diya rakhta hun main
main ki apni qabr mein bhi zinda hun ghar ki tarah
har kafan ko apne gird ehram sa rakhta hun main
dasht-e-ghurbat mein hun aawara misal-e-gard-baad
koi manzil hai na koi naqsh-e-pa rakhta hun main
mera saya bhi nahin mera ujale ke baghair
aur ujale ka tasawwur KHwab sa rakhta hun main
(1058) Peoples Rate This