Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha
rukne ke liye dast-e-sitam-gar bhi nahin tha
afsos kisi hath mein patthar bhi nahin tha
bahar jo nahin tha to koi baat nahin thi
ehsas-e-nadamt magar andar bhi nahin tha
jannat na mujhe di to main dozaKH bhi na lunga
momin jo nahin tha to main kafir bhi nahin tha
lauTa jo watan ko to wo raste hi nahin the
jo ghar tha wahan wo to mera ghar bhi nahin tha
anjam to zahir tha safen TuT chuki thin
salar-e-muazzaz sar-e-lashkar bhi nahin tha
afsos qabile pe khula ghair ke hathon
sardar ke pahlu mein to KHanjar bhi nahin tha
jo baat kahi thi wo bahut saf kahi thi
dil mein jo nahin tha wo zaban par bhi nahin tha
ye sach hai qasida na 'hilal' ek bhi likkha
ye sach hai ki main shah ka naukar bhi nahin tha
(3364) Peoples Rate This