Kabhi To Sehn-e-ana Se Nikle Kahin Pe Dasht-e-malal Aaya
kabhi to sehn-e-ana se nikle kahin pe dasht-e-malal aaya
hamari wahshat pe kaisa kaisa uruj aaya zawal aaya
adawaten thin mohabbaten thin na jaane kitni hi hasraten thin
magar phir aisa hua ki sab kuchh main KHud hi dil se nikal aaya
kabhi ibaadat kabhi inayat kabhi duaen kabhi ataen
kahin pe dast-e-talab bane hum kahin pe hum tak sawal aaya
gulon ke chehre khile hue hain hawa mein KHush-bu mahak rahi hai
ye meri aankhon ne KHwab dekha ki sail-e-husn-o-jamal aaya
tamam ranj o mehan ko chhoDen tumhin ko dekhen tumhin ko sochen
baDe zamane ke baad dil mein ye bhula bisra KHayal aaya
ghazal sunaun to dad paun magar main tum se bhi kya chhupaun
tumhi ne sare hunar sikhae tumhi se rang-e-'hilal' aaya
(916) Peoples Rate This