Aankhon Mein Wo KHwab Nahin Baste Pahla Sa Wo Haal Nahin Hota
aankhon mein wo KHwab nahin baste pahla sa wo haal nahin hota
ab fasl-e-bahaar nahin aati aur ranj o malal nahin hota
is aql ki mari nagri mein kabhi pani aag nahin banta
yahan ishq bhi log nahin karte yahan koi kamal nahin hota
hum aaj bahut hi pareshan hain is waqt ke pher se hairan hain
hamein le ke chalo kisi aisi taraf jahan hijr o visal nahin hota
jitni hai nadamat tum ko ab utne hi pashiman hum bhi hain
tum us ka jawab hi kyun socho hum se jo sawal nahin hota
wo basti bhi ek basti thi ye basti bhi ek basti hai
wahan TuT ke dil juD jate the yahan koi KHayal nahin hota
is shahr ki rit ko aam karen jhuk jhuk ke sabhi ko salam karen
har kaam to hum kar lete hain yahi kaam 'hilal' nahin hota
(752) Peoples Rate This