Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a6ead87118eb7146a6abef795084bdb7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Ye Kahte Hain Zamane Ki Tamanna Main Hun - Hijr Nazim Ali Khan Poetry In English - Darsaal

Wo Ye Kahte Hain Zamane Ki Tamanna Main Hun

wo ye kahte hain zamane ki tamanna main hun

kya koi aur bhi aisa hai ki jaisa main hun

apne bimar-e-mohabbat ka mudawa na hua

aur phir is pe ye dawa ki masiha main hun

aks se apne wo yun kahte hain aaine mein

aap achchhe hain magar aap se achchha main hun

kahte hain wasl mein sine se lipaT kar mere

sach kaho dil tumhein pyara hai ki pyara main hun

wo satata hai alag charKH-e-sitam-gar alag

saikDon dushman-e-jaan hain mere tanha main hun

baKHt bargashta wo naraaz zamana dushman

koi mera hai na ai 'hijr' kisi ka main hun

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ye Kahte Hain Zamane Ki Tamanna Main Hun In English By Famous Poet Hijr Nazim Ali Khan. Wo Ye Kahte Hain Zamane Ki Tamanna Main Hun is written by Hijr Nazim Ali Khan. Read famous Poem Wo Ye Kahte Hain Zamane Ki Tamanna Main Hun for youth and Student by Hijr Nazim Ali Khan. Free Download Wo Ye Kahte Hain Zamane Ki Tamanna Main Hun in PDF.