Wo ShoKH Baam Pe Jab Be-naqab Aaega
wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega
to mahtab-e-falak ko hijab aaega
KHabar na thi ki miTenge jawan hote hi
ajal ka bhes badal kar shabab aaega
paDega aks jo saqi ki chashm-e-maigun ka
nazar sharab mein jam-e-sharab aaega
hazar haif ki sar nama-bar ka aaya hai
samajh rahe the ki KHat ka jawab aaega
kalim han dil-e-betab ko sambhaale hue
suna hai tur pe wo be-naqab aaega
jo aarzu hai hamari wo kah to den lekin
KHayal ye hai ki tum ko hijab aaega
ye shoKHiyan teri is kam-sini mein ai zalim
qayamat aaegi jis din shabab aaega
kabhi ye fikr ki wo yaad kyun karenge hamein
kabhi KHayal ki KHat ka jawab aaega
chala hai 'hijr' siyahkar bazm-e-jaanan ko
zalil ho ke ye KHana-KHarab aaega
(951) Peoples Rate This