Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai

tum bhi nigah mein ho adu bhi nazar mein hai

duniya hamare dida-e-hasrat-nagar mein hai

han jaante hain jaan ka KHwahan tumhin ko hum

malum hai ki tegh tumhaari kamar mein hai

kya rashk hai ki ek ka hai ek muddai

tum dil mein ho to dard hamare jigar mein hai

go ghair ki baghal mein sahi wo pari-jamal

main to yahi kahunga ki meri nazar mein hai

donon ne dard-e-ishq ko taqsim kar liya

thoDa sa dil mein hai to zara sa jigar mein hai

main bhi hun aaj main ki bar aai murad-e-dil

dil bhi hai aaj dil ki wo mehman ghar mein hai

mamnun hun KHayal ka apne shab-e-firaq

jo samne nazar ke nahin wo nazar mein hai

dilbar ho ek tum ki hamari nazar mein ho

dil hai hamara dil ki tumhaari nazar mein hai

kahte hain jis ko dil mere pahlu mein ab kahan

hai bhi to paemal kisi rahguzar mein hai

dekho to dekhte hain tumhein kis nigah se

hasrat hai jis ka nam hamari nazar mein hai

jis par paDi pasij gaya mom ho gaya

Dubi hui nigah hamari asar mein hai

jachta nahin nigah mein koi hasin bhi 'hijr'

jab se kisi ki chand si surat nazar mein hai

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai In English By Famous Poet Hijr Nazim Ali Khan. Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai is written by Hijr Nazim Ali Khan. Read famous Poem Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai for youth and Student by Hijr Nazim Ali Khan. Free Download Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai in PDF.