Sitam Tir-e-nigah-e-dilruba Tha
sitam tir-e-nigah-e-dilruba tha
hamare haq mein paigham-e-qaza tha
hua achchha ki wo ghar se na nikle
kise malum kis ke dil mein kya tha
mujhe wo yaad karte hain ye kah kar
KHuda baKHshe nihayat ba-wafa tha
ummid-e-wasl ki haalat na puchho
faqat ek aasra hi aasra tha
bahut achchha hua wo le gae dil
baDa ziddi nihayat bewafa tha
nahin malum us kam-sin ko ye bhi
hamare dil mein kya hai aur kya tha
na puchho jalwa-gah-e-naz ka jamal
har ek mahw-e-jamal-e-dilruba tha
suna hai mai-kashi karne laga 'hijr'
wo mard-e-ba-KHuda to parsa tha
(812) Peoples Rate This