Shab-e-firaq Kuchh Aisa KHayal-e-yar Raha
shab-e-firaq kuchh aisa KHayal-e-yar raha
ki raat bhar dil-e-gham-dida be-qarar raha
kahegi hashr ke din us ki rahmat-e-be-had
ki be-gunah se achchha gunah-gar raha
tera KHayal bhi kis darja shoKH hai ai shoKH
ki jitni der raha dil mein be-qarar raha
sharab-e-ishq faqat ek zara si chakkhi thi
baDa surur ghuTa muddaton KHumar raha
unhen gharaz unhen matlab wo haal kyun puchhen
bala se un ki agar koi be-qarar raha
tumhein kabhi na kabhi mar ke bhi dikha dunga
jo zindagi ne wafa ki jo barqarar raha
adaen dekh chuke aaine mein aap apni
bataiye to sahi dil par iKHtiyar raha
shab-e-visal baDe lutf se kaTi ai 'hijr'
tamam raat kisi ke gale ka haar raha
(1147) Peoples Rate This