Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c07d2ef66b5581d6fbac351dca0d73b0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Mohabbat Mein Ajab Shewa-e-dil-dar Raha - Hijr Nazim Ali Khan Poetry In English - Darsaal

Kuchh Mohabbat Mein Ajab Shewa-e-dil-dar Raha

kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha

mujh se inkar raha ghair se iqrar raha

kuchh sarokar nahin jaan rahe ya na rahe

na raha un se to phir kis se sarokar raha

shab-e-KHalwat wahi hujjat wahi takrar rahi

wahi qissa wahi ghussa wahi inkar raha

talib-e-did ko zalim ne ye likkha KHat mein

ab qayamat pe mera wada-e-didar raha

haal-e-dil bazm mein us shoKH se hum kah na sake

lab-e-KHamosh ki surat lab-e-izhaar raha

kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone wale

raat bhar kaun teri yaad mein bedar raha

ek nazar naza mein dekhi thi kisi ki surat

muddaton qabr mein bechain dil-e-zar raha

dil hamara tha hamara tha hamara lekin

un ke qabu mein raha un ka taraf-dar raha

umr hans-khel ke is tarah guzari ai 'hijr'

dost ka dost raha yar ka main yar raha

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Mohabbat Mein Ajab Shewa-e-dil-dar Raha In English By Famous Poet Hijr Nazim Ali Khan. Kuchh Mohabbat Mein Ajab Shewa-e-dil-dar Raha is written by Hijr Nazim Ali Khan. Read famous Poem Kuchh Mohabbat Mein Ajab Shewa-e-dil-dar Raha for youth and Student by Hijr Nazim Ali Khan. Free Download Kuchh Mohabbat Mein Ajab Shewa-e-dil-dar Raha in PDF.