TaDap Ke Haal Sunaya To Aankh Bhar Aai
taDap ke haal sunaya to aankh bhar aai
jo us ne zaKHm dikhaya to aankh bhar aai
thi jis charagh se qaem meri umid-e-sahar
hawa ne us ko bujhaya to aankh bhar aai
zamane-bhar ka sitam sah ke muskuraata raha
fareb apnon se khaya to aankh bhar aai
hamare shahr ki galiyon mein qahr Dhate hue
lahu ka sail dar aaya to aankh bhar aai
saba ne aah KHizaon ke sath mil kar phir
gulon ka rang uDaya to aankh bhar aai
jabin-e-haal pe mazi ki talKH yaadon ne
sunahra naqsh banaya to aankh bhar aai
tamam umr to apnon ki Thokaron mein rahe
kisi ne sar pe biThaya to aankh bhar aai
bichhaDte waqt kisi ne jo pyar se 'shamsi'
machal ke hath hilaya to aankh bhar aai
(877) Peoples Rate This