Ras Aai Na Mujhe Anjuman-arai Bhi
ras aai na mujhe anjuman-arai bhi
aafat-e-jaan bani hae shanasai bhi
dushmanon ki mere auqat kahan thi itni
sazish-e-qatl mein shamil tha mera bhai bhi
aankh andhi thi zamane se yahan logon ki
mar gai zer-e-dahan quwwat-e-goyai bhi
tujh se nisbat ho koi sang-e-malamat ki agar
mujh ko pyari hai tere shahr mein ruswai bhi
kashti-e-zist jahan Dub rahi thi meri
mere apne the wahan log tamashai bhi
kar diya mujh ko masail ne abhi se buDha
waqt ne ruKH se mere chhin li ranai bhi
muflisi jin ke muqaddar mein likhi hai 'shamsi'
un ke ghar bajti nahin hai kabhi shahnai bhi
(982) Peoples Rate This