Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_10f4c5e297b7960449c47d38c2fe00d9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Mein Ek Shor UThate Hain Chale Jate Hain - Hidayatullah Khan Shamsi Poetry In English - Darsaal

Dil Mein Ek Shor UThate Hain Chale Jate Hain

dil mein ek shor uThate hain chale jate hain

aap jazbaat jagate hain chale jate hain

rose jalta hai sar-e-sham umidon ka charagh

daman-e-lail bujhate hain chale jate hain

waqt-e-ruKHsat to qayamat ka saman hota hai

gham ko sine se lagate hain chale jate hain

hum to phirte hain mohabbat ka KHazana le kar

rah nafrat mein luTate hain chale jate hain

chand lamhon ki rifaqat mein kai KHwab hasin

lala-o-gul ko dikhate hain chale jate hain

KHushk honTon ko mere jhuTa tabassum de kar

phir se aankhon ko rulate hain chale jate hain

kaun karta hai ada haqq-e-marasim 'shamsi'

log bas rasm nibhate hain chale jate hain

(1026) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Ek Shor UThate Hain Chale Jate Hain In English By Famous Poet Hidayatullah Khan Shamsi. Dil Mein Ek Shor UThate Hain Chale Jate Hain is written by Hidayatullah Khan Shamsi. Read famous Poem Dil Mein Ek Shor UThate Hain Chale Jate Hain for youth and Student by Hidayatullah Khan Shamsi. Free Download Dil Mein Ek Shor UThate Hain Chale Jate Hain in PDF.