Ye Aur Baat Hai Har ShaKHs Ke Guman Mein Nahin
ye aur baat hai har shaKHs ke guman mein nahin
zamin kahan hai jo aaghosh-e-asman mein nahin
ziya-faraaz jahan hain hazar mah-o-nujum
charagh koi magar mere aashiyan mein nahin
wafur-e-ishq ki nairangiyan are tauba
jo dil mein dard hai wo dil ki dastan mein nahin
tum apna tir-e-ada meri ruh mein DhunDo
in abaruon ki lachakti hui kaman mein nahin
ye aur baat ki gulshan pe gir paDe bijli
kami to koshish-e-tanzim-e-gulistan mein nahin
jo apni sust-rawi ka ilaj kar na sake
maqam us ka koi ahl-e-karwan mein nahin
rumuz-e-uqba se ahl-e-zamin hon kya waqif
kisi bhi pahlu koi rabt do-jahan mein nahin
'falak' main kaifiyyat-e-dil se KHud pareshan hun
kisi fughan mein asar hai kisi fughan mein nahin
(858) Peoples Rate This