Sukun-e-dil Ke Liye Aur Qarar-e-jaan Ke Liye
sukun-e-dil ke liye aur qarar-e-jaan ke liye
tumhaara nam hai kafi meri zaban ke liye
jo pur hai jam to kuchh KHauf-e-hadsat nahin
hamare pas bhi bijli hai aasman ke liye
KHmushi-e-rah-e-manzil se ye hua sabit
ki manzilen bhi tarasti hain karwan ke liye
misal-e-shams-o-qamar gardishon mein rahte hain
KHuda ne jin ko banaya hai aasman ke liye
hawas ne KHuld ajal ne chhuDai ye duniya
KHabar nahin meri miTTi hai ab kahan ke liye
shab-e-firaq dua mang kar guzari hai
kabhi asar ke liye aur kabhi fughan ke liye
hamare zehn mein dil mein lahu mein urdu hai
jiyenge aur marenge isi zaban ke liye
pahunch gae sar-e-manzil jo ham-safar the 'falak
hamin taraste rahe gard-e-karwan ke liye
(975) Peoples Rate This