Raushan Hai Faza Shams Koi Hai Na Qamar Hai
raushan hai faza shams koi hai na qamar hai
shair hun mujhe arsh-e-mualla ki KHabar hai
dariya mein hain girdab kinare pe bagule
aaram ki surat na idhar hai na udhar hai
patte ki khaDak se bhi larazta hai mera dil
sae se bhi KHatra mujhe dauran-e-safar hai
ek mauj bhi rakhti hai kinare ki tamanna
aawara jo phirta hun ye mera hi jigar hai
ek tair-e-mahsur asiri ka muKHalif
uD sakta hai bazu mein agar ek bhi par hai
maujon ko pata kya hai samundar ko KHabar kya
kis abr ki shoKHi hai sadaf mein jo guhar hai
kya ashk kisi TuTte tare pe bahaun
KHud apna hi anjam 'falak' pesh-e-nazar hai
(913) Peoples Rate This