Rang-amezi Se Paida Kuchh Asar Aisa Hua
rang-amezi se paida kuchh asar aisa hua
KHud musawwir apni hi taswir ka shaida hua
kya nigahon ki tashaffi ho ki bazm-e-dahr mein
samne aata hai har manzar mera dekha hua
khol kar aankhen zara ye husn-e-mahr-o-mah dekh
did ke qabil hai zarra charKH par pahuncha hua
ishq ne is dil ko dam lene ki fursat hi na di
ek jab arman nikla dusra paida hua
barq ke shoalon munasib hai mujhi ko phunk do
kis kaleje se main dekhun aashiyan jalta hua
ek wahi apna KHuda hai ek wahi hai apna but
jis ke dar par sar jhuka dene se sar uncha hua
pahuncho gar ek chand par sau aur aate hain nazar
aasman jaane hai kitni dur tak phaila hua
ab 'falak' hai ek nai duniya ki dil ki justuju
ye zamin dekhi hui hai aasman dekha hua
(685) Peoples Rate This