Niyyat Agar KHarab Hui Hai Huzur Ki
niyyat agar KHarab hui hai huzur ki
gaDh lo koi kahani hamare qusur ki
kyun dil ki aag le na KHabar dur dur ki
kaundi hai har dimagh mein bijli futur ki
har zulm par kiya hai zamane se ehtijaj
kuchh bhi na ban paDa to mazammat zarur ki
tamir ka to waqt hai taKHrib ka junun
ab bhi hai aadmi ko zarurat shuur ki
ai sham-e-gham ki gahri KHamoshi tujhe salam
kanon mein ek aai hai aawaz dur ki
hosh uD gae to hosh haqiqat ka aa gaya
musa ki be-hisi mein tajalli thi nur ki
kahta hai inqalab zamana jise 'falak'
ek duniya muntazir hai usi ke zuhur ki
(763) Peoples Rate This