Ku-e-jaanan Mein Nahin Koi Guzar Ki Surat
ku-e-jaanan mein nahin koi guzar ki surat
dil uDa phirta hai TuTe hue par ki surat
hum to manzil ke talabgar the lekin manzil
aage baDhti hi gai rahguzar ki surat
wo rahen samne mere to tasalli warna
dil bhi kambaKHt bhaTakta hai nazar ki surat
ruh afsurda pareshan KHayalat mein gum
aisi pahle kabhi dekhi thi bashar ki surat
meri qismat mein mohabbat ne yahi likkha hai
dard bhi dil mein rahe zaKHm-e-jigar ki surat
baiTh jaen kisi goshe mein simaT kar ai dost
kaun gardish mein rahe shams-o-qamar ki surat
wo gae ghar se to phir hum ne bhi ghar ko chhoDa
hum se dekhi gai diwar na dar ki surat
chand aansu hi mere dil pe 'falak' gir jaen
aatish-e-gham se sulagta hai sharar ki surat
(1034) Peoples Rate This