Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun
ashk-e-gham wo hai jo duniya ko dikha bhi na sakun
aur gir jae zamin par to uTha bhi na sakun
ye mere gham ka fasana hai rahega lab par
teri rudad nahin hai ki suna bhi na sakun
partaw-e-husn hun is waste mahdud hun main
husn ho jaun to duniya mein sama bhi na sakun
tez kuchh waqt ki raftar nahin hai lekin
tum agar sath na do panw baDha bhi na sakun
ab wahi log bigaDi hai jinhon ne qismat
chahte hain ki main taqdir bana bhi na sakun
aaj nakaam sahi kal ka bharosa hai mujhe
ishq phir kya jo tujhe apna bana bhi na sakun
dil kahan ek siyah-KHana hai ranj-o-gham ka
is qadar dagh lage hain ki miTa bhi na sakun
dil ki gahrai se ai dost zara kah to sahi
jaan aisi to nahin jis ko ganwa bhi na sakun
umr guzri kabhi saqi ne 'falak' ye na kaha
itni pi le ki tujhe hosh mein la bhi na sakun
(841) Peoples Rate This